Sunday, 28 February 2016

Health Benefits of Honey: Behtar Swasth ke Liye Shahad

Shahad bharti par paayi jane wale sabse purani aur meethi cheez hai. Shahad prakriti ka diya huya sabse anmol vardaan hai, jo bahut se upyog mai aata hai.
Par shayad  bahut se log iske faydo ke baare mai nahi jante hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Health Benefits of Honey. Jisko jaan kar aap iske swasthvardhak faydo ka lufh utha sakte hai.
Isme bahut prakar ke vitamins, minerals, sugar, glucose paya jata hai jo hamare swasth ke liye bahut laabhprad hai. Iske fayde itne hai ki hum ise bahut si recipes mai bhi istemal karte hai.
Shahad swad mai tasty aur mitha hota hai, saath hi saath ye kabhi kharab nahi hota. Jitna purana shahad ho utna hi laabhprad hota hai. Shahad hume madhumakkhi ke dwara uplabdh hota hai.

Shahad ke Aashcharya Janak Fayde

You may also like: Amazing Health Benefits of Honey-Nature’s Gift
Niyamit roop se shahad ka sevan karne se sharir ko urja, isfurti aur shakti milti hai. Isse hamara sharir sundar, sudol, swasthvardhak banta hai. Shahad motapa ghatane mai bhi faydemand hota hai, iske guno se rogi vyakti swasth ho jata hai. Shahad hamare sharir ke level ko niyantrit rakhta hai.
Shahad ek prakrtik swasthvardhak aahar hai, jise twacha ko sundar aur motapa kam karne ke liye prayog kiya ja sakta hai. Agar aap apne badhte huye vajan se pareshan ho chuke aur gym jane ka samay nahi hai, to shahad ka prayog kar ke aap bilkul slip-trim ban sakte hai.
Shahad ko pratidin subah gungune pani tatha nimbu ras ke saath sevan karna chahiye jisse hame jyada se jyada urja prapt hogi aur hamare sharir ko bhi tarotaza mahsus hoga. Shahad ucch raktchaap ki matra ko niyantrit karne mai karagar hota hai. Rakt shudhi ke liye bhi shahad ka sevan karna chahiye.
Shahad-ke-Fayde

 Shahad ke Fayde ke Dwara Paiye Swasth Sehat

  • Cough aur Asthma: cough aur asthma ko honey se dur kiya ja sakta hai, adrak ke ras mai shahad ko mila kar lene se aaram milta hai. To hum bol sakte hai ki, Shahad ke Fayde mai yeh iska bahut mukhaye hai.
  • Haradaye ki Bimari: Rozana shahad ka sevan karne se dimagi  kamzoriyan dur hoti hai. Dil ko mazbut karne aur haradaye sambandhi rogo ko dur karne mai shahad sahayak hota hai.
  • Twacha: Shahad ka sevan wrinkles aur muhaase dur karne aur chehare par chamak lane ke liye kiya jata hai. Saath hi aap chahe to chehre ki khushki ko dur karne ke liye shahad, malai aur besan ka ubtan bana kar lag sakte hai. Isse chehre par chamak bhi aayegi aur aap sundar bhi dikhai dengi.
  • Kabz aur Piliya: Garmiyo main rozana shahad ka sevan karne se pet halka rehta hai. Pake huye aam ke ras mai shahad mila kar lene se piliya mai laabh milta hai. Shahad ke sevan se kidani aur aant theek rehti hai. Tamatar ya santre ke saath shahad lene se kabz ki shikayat dur hone lagti hai. Shahad gharelu upchar mai bhi bhut faydemand hota hai.
  • Ghaav aur Kharoch: Shahad mai antibacterial aur antimicrobial gun hote hai jo ghaav, jale hui twacha tatha kharoch par labhprad hota hai. Shahad dard ko kam karne aur tezi se upchar ke liye upyogi hota hai. Isiliye kijiye Shahad ka upyog aur paiye Shahad ke Fayde anek jo dega aapko jivan ko tarotazgi.
  • Baanjhpan Dur Kare :- Shahad aur Dudh ko ek saath lene se aapko sharir ko amino acid aur kai prakar ke minerals milenge jisse ovary ko poshan milega. Isliye baanjhpan ko dur karne ke liye Dudh aur shahad ka senan kare.
  • Acchi Neend :- Kya aapko raat mai neend nahi aati ? Aise mai aapko sone se pahle ek glass garm dudh mai shahad mila kar peena chahiye. Isse aapki neend na aane ki bimari dur ho jayegi.
  • Majbut  Haddiya :- Dudh aur shahad ka combination sharir ko healthy banaye rakhne ke saath haddiyo ki bimariyo jaise osteoporosis ya umra badhne ke saath hone wale jodo ke dard aadi se surakshit rakhta hai, Kyoki dudh aur shahad dono mai Calcium ki bharpur matra hoti hai.
  • Takat Badhaye :- Garmiyo mai hamari takat gami ki vajah se kam ho jati hai Ise badhane ke liye rojana Dudh me shahad mila kar piye. Dudh mai protein hota hai aur Shahad me Carbohydrate, Jo ki stamina ko badhane mai madad karta hain.
  • Pachan :- Dudh aur shahad ko pine se pachan sambandhit sabhisamasya ko dur kiya ja sakta hai. In dono samgriyo mai maujud poshan pet mai acche bacteria ko badhane mai madad karte hain, Jisse pachan thik bana rahta hain. Ek cup dudh mai 1 chammach shahad mila kar pijiye.

No comments:

Post a Comment